khayal-e-gumnam

Asalam o Alaikum.umeed he sb khairyat se hun gay.Allah ham sb pe reham farmaiy.aj pehli bar kuch likhne ka muqa mela he.likhna to buhat kuch chahti hun mgr ye alfaz ki barish ahesta ahest hi barse gi janab. 🙂kabhi kabhi insan under se bilkol thak sa jata he halat k utar charhao ka samna krte krte. zindagi ne apne itne rang dikhaiy hen k apna sb rang rop beh gaya. ab kuch nahi ehsas. Aahamdulilah zindagi ne jahan apna hr roop dikhaya he wahan niamaton se bharpor waqt b dikhaya. hr aik ki zindagi bhari pari he aise waqyat se. sb ko a hi jata he hr haal mein jeena .khair waqt jaisa b ho sb khuda ki deyn he acha waqt b or bura b. bs hamen sbit qadam rehna chahiey.naumeedi ko apne upar sawar nahi hone dena chahiey.khayale gumnam jo b aise halt mein ate hen to apni tamam tr jawajjo khuda se apne talluqat durost krne mein laga deni chahiey.inshaAllah wo waqt dir nahi jb ye dokhon ki sayyah raat b guzar jaiy gi. apni duaon mein yad rakheiy ga Allah hafiz fiamanillah

Comments

Popular posts from this blog

Amazing facts